Rohani ilaj ki ahmiayt

Rohani ilaj ki ahmiayt
                         
            Allah azawajal nay apny naam or kalaam main be intihaa taseer rakhi hay sari kaynaat or kar khana qudrat usi zaat.e.kareem k naam ki barkat say qaym.o.daym hay. hazrat anas(r.a)say rawyat hay k nabi kareem (s.w)nay arshad farmaya qayamat us waqt tk qaym nhi hogi jab tk  ye halat na ho jay keh Allah Allah na kaha jay .quraan kareem ki ayyat.e.tayyba,ahadees  .e.mubarkaa Or asmaye ilahie par mabni wazayf o ammliyat  ki taseer or on say rohani .o.jasmaani masail aur bimaariyon k ilaaj  main istifada hasil krna usy mehsoos karnay wali cheez haa. k agrchey insaan ka dill madaa prasti ka shikaar ho kr rohaani asraat say bilkul hi aari na ho chuka ho to us ka inkaar na mumkin hay jesa k Allah azawajal nay quran kareem main arshad farmaya.aur hum quran mein wo cheez  nazal farmaa rhay hain  jo imaan walon kay liey to sirf shifa aur rehmat aur zalimon kay liey nuqsaan hi mein azafa kr raha hay or jab ham insaan par koi inaam farmaty hain to wo shukar say garaiz karta aur pehlu tahee kar jata ha aur jab usay koi takleef pohunch jati hay to  mayoos ho jata hay(sura.e.bani israeel) mufsareen k mutabaq is ayat.e.mubarik main  zikar k liey gai shifaa k lafaz ko siraf rohani bimariyon k ilaaj k sath  khas karna mehiz  aik aysa dawa ha  jis ki koi daleel nhi bal keh ye rohani  bimaariyon k ilaaj k sath sath  degar  preshaniyon say aur uljanon kay hal aur jismani  bimariyon k ilaaj k liey  bhi aam hay .bila shuhba assal shifaa bakhashnay wali zaat siraf usi parwardigar alam ki hay jis k baray main hazrat ibraheem (a.s) ne farmaya tha wo(Allah hay) jis nay muje paida kiya so wahi mujay hadayat farmata hay or wohi mujay khilata hay or pilata hay or jab main bimaar ho jata hun to wahi mujay shifa deta hay(surat.ul.shurah) duniya chuonkay asbaab k zariya chal rahi ha jis trah degar mukhtalif nuskhon ,jarri bootiyon,or adwiyaat main khaliq .e.kaeynaat nay shifa rakhi hay is trah mukhtalif wazaif or amliyat main bhi shifa majood hay  jesa k hazrat aisha(r.a) se rawaiyat hay nabi(s.a ) jab bimaar hotat to surat falaq aur surat.ul.naas parh kr khud par dam kr letay the.mojooda afraa tafree k dor main jahan be.hayai,jhoot aur dhoka bazi jasey ghair mamooli rishton main nafrat dushmani or hasad ki aag main  jalney ki wajah say jadoo toona krnay or karwany ka bazar bhi garam hay jis ki waja say ye sada loh awaamkoaydinmukhtalif             Preshaniyon,mushkilaat,rakawaton,nuqsanaat,muqaddas rishton main nafrat.o.larhai jhagrha or nafarmani jesey ghair mamooli halaat ,karobaari nuqsanaat,safar rizaq,shadi ya olaad ki bandash or mukhtalif bimariyon ka samna rehta ha. halaat ye hein k musalman  apny masail k hal kay liey quran kareem ki taqat ko shode kr napak  shatani aloom ka sahara lay    rahey hain or shatin sift aamileen kay dar par apna imaan zibha kr rhay hain sada lo awam hi nhi balkay ashay khasay parhy likhy loog b jali aamilon or nam nahad professeron kay han ja kr apna waqat or maal hi nhi balkhy apni sab say qeematy cheez yani imman say b hath dho rahay hain zrorat is bat ki hay khy hadood e shreeyat ki pasdari karaty huy logon kay samny on kay msail ka hal paish kia jai  isi liey rohani or qurani ilaaj ki online service shuru ki gai hay taaky duniya main jhan khain koi b parshani ya bimari main mubtlha hay wo is sey faida hasil kr saken.    

0 comments:

Post a Comment

Kindly Report Dead or Broken link..

General Help
+923357764997
+923457818315

CONTECT US

ہمارے متعلق شفا ء علی آن لائین تشخیص و علاج

ہمارے متعلق شفا ء علی آن لائین تشخیص و علاج کی سروس  لوگو ں کے مسائل اور وقت کی ضرورت کے تحت شروع کی گئی دور درازکے  اور ایسے لوگ جو ...