Jadu ki
aqsam : Jadu ki kai aqsam hain jin man kala jadu (saher aswed)
safaid jadu (saher abeez,jadu k zariay jadu ka illaj ya nafa pohnchany kay liey
kia jany wala amal) or safli jadu ye banyadi aqsam hain . Kala jadu (sher
aswed) agr jadu k zariay khalqat khuda ko taklif pohchai jaiy to aisy jadu ko kala jadu kahty hain .
safaid jadu b(saher abeez) agr jadu ko jadu k zor say khtam
kia jaiy to wo safaid jadu kahlata hay .
Safli jadu; shaitani nafoos (murdoon k ham zad ,
shaitan) ki madad hasal kr k nafa o
nuqsan k liey kia janay wala amil safli jadu kahlata hay . Aam log to darknar
ziayda tar khwas jo amliayati dunyia kay log hain wo bi is amer say shnasa nhi kah salfi jadu kalay jadu say
ziada khatrnak o mahlak jadu hay . Aam tor par log kaly jadu ko sab say khat
nak jadu taswar kartey hain Magar haqiqt
is say door hay. Is ki missal aisy hi he jaisy sary saanp (ziada tar saanp)
zahrily nahi hoty or agr kisi ko saanp kat lay to wo sirf is k khoof say mar
jata hay ya qarib ul marg ho jata hay keh saanp nay isay kata hay aisy hi log kaly jadu ko ziada khatr nak
samjtay hain bjaiy safli amil kay . Jadu ek aisa shaitani amil hay jis k zariay
makhlooq e khuda ko tang kia jata hay or galt tariqoon say apney mqasad ko
hasil karney ki koshish ki jati he .
Jadu karna kufer hay deen man is say sakhti say mana kia hay jadu
karwany ki wjha ziyada tor hasad or badlay
ki aag hoti hay or apna maqsad galt tareeqon say hasil karny ki koshish
ki jati hay doray hazir main paisa aam
honay ki wjha say kamzor iman waley log is rastay ka intakhab krtay hain . Jadu
gar log jin ka maqsd mahiz paisa kmana hota hay wo is kam ma in logon ki madad
krtay hain or masoom logon ki zindagi barbad kr datay hain jis par jadu ka
amal hota hay wo nahi janta is kay sath kia or kun ho rha he wo tarha tarha ki
praishaion or baimarin ka shkaar ho jata hay .kabi medical ilaj krwata hay kabi
nafsiyati laken kamal shifa nhi hoti asal wjha ka pta nhi hota jab pta chalta ha kafi nuksan ho chuka hota
hay jis tra ajj kay jadeed dor mein medical test zrori ha isi tra rohani test
bi zrori ha taaky asal maraz ka pta chale or os ka kamal ilaaj ho is maqsad k
leiy online rohani istkhara o ilaaj ki service starat ki gyi ha taakey poori
duniya main jhan b koi is problem ka
shkaar ha os ko fida dia ja sakey.
0 comments:
Post a Comment
Kindly Report Dead or Broken link..